Saturday, January 30, 2010

The POET IN ME!!!!

Aaj socha ki ek blog shayri ke naam kar dun...Actually when I was a kid(mutlub bilkul chota nahi...in the age jub bachon ko nayi nayi hawa lagti hai...you know...jub ek dum apne dad ki saari posessions main se unka shaving razor hi dikhayi deta hai aur mann karta hai ki nayi nayi moustaches ko jadd se unkad fainke. Yah fir ghar se nikalne aur school tak pohnchne ke beech main ladkiyan apni skirt ko teen fold deti hain...utna KID) I started reading shayari(you know to impress girls). Aur fir bada mann karta tha ki khud se kuch aisa likh dalun ki jo sune bus deewana ho jaye mera. But again it was not meant to be. Woh hota kuch aisa hai ki pehli line to humesha achi ban jaati hai...par dusri line main mere andhar ka devil jaag jaata hai. Khair anyways koshish karne main kya jaata hai.......kyun??

toh suniye.....

"main aksar raaton ko uth uth kar yeh sochta hun......

main......

maaaaaaain......

main aksar raaton ko uth uth kar yeh sochta hun...
Ki kahin stove "ON" to nahi reh gaya!!!

(bhai safety is always first..shayari tabhi karenge jub jinda rahenge)

ek aur mula-e-jaa farmayie......

"Jee chahta hai saari duniya ko tumahre raang main raang dun,
par kya karun mera water colors ka dabba kho gaya hai
"


aur ab ek dard bhara sher.......

"Hazaron khawaishen hain aisi! ki har khawaish pe dum nikle!!
pilata tumeh daroo ki botal! par ATM se paise Kum nikle!!"

(bhai month end par jub bhi maine yeh sher kisi ko sunaya hai...aansoon nikle hain logon ke...AANSOON)

kisi ki yaad ke liye....arz kiya hai....

"Yeh nazrein bheed main bhi tujhe hi dundati hain,
Yeh nazrein bandh ho kar bhi tujhe hi dekhti hain,
Yeh saansein har aah ke saath tujh se puchti hain,
mere paanch hazaar kab vapis karega bhai"

(depth of emoshion dekhiye aap!!)

Aur ab un logon ke liye jo raaste main bewafayi kar dete hain....

"ek aise mod par lakar, mujh se bewafaayi ki tumne, ek aise mod par....
main ganton khada sochta raha, abhi kal hi to service karvayi thi tumne"

(That's why you suld chuse your car mechanic bhery bhisely)

I am sure that you are quite thrilled by the literal journey that I have put you through. Par aap sub ghum na karein. Is mehfil mein main jald hi fir hajir hounga kuch naye sher le kar....aur jaate jaate ek aur aapki nazar karna chahunga....

"Naa chaho kisi ko itna, ki chahat tumari majburi ban jayee,
Bus itna bhuno aatte ko, halwa bane na bane par churri ban jaye"




(Copyright : These poems are an original work of a great artist in the making and it is requested from you not to copy it anywhere or mail it. But being true indians if you insist on doing exactly what you are told not to do then go ahead.)

5 comments:

Ananya said...

ur shayari's were an interesting read:)

Swati Chaudhary said...

hey Aman i read ur blogs n dey r really tooo gud.......in d hectic schedule of myoffice hours dey r lik anitidodes........i luved reading ur blogs hope 2 c sum more in cumin tym.........ooooppppsss.....vese u must be wonderin who d hell she is.......well m vijya dee's room mate swati......All d best 4 ur future....

Vijaya Gautam said...

I promise I will never copy it or mail it to somebody!!!

Online Earning Oppurtunities said...

Arey Tu akela hi nahi hai is duniya mein. Me too is an original Shayar and aaj mein dil ki baat karta hu jab mene tujhe pehli baar dekha tha.

Irshad,
Gaur farmaiyega ..
.
.

Tujhe dekh ke lagta hai mujhe KHAUFF !!
.
.

Wah Wah !!
.
.
Tujhe dekh ke lagta hai mujhe KHAUFF !!
.
.
.
Subhan Allah, wah wah !!
.
.
.
.
.
Tujhe dekh ke lagta hai mujhe KHAUFF !!
.
.
..
.
.
....
..
..
.
.
F*CK OFF, F*CK OFF, F*CK OFF.
.
.
.
.




Wah ji Wah, Mar gaye...

anuj said...

arz kiya hai, gaur farmaiyega....


aapki shayri ki aakhir main kya daad du,


aapki shayri ki aakhir main kya daad du,



aapki shayri ki aakhir main kya daad du,


idhar aaiye tashreef lekar main chaar laat du..


waah waah waah waah....